Friday, July 06, 2007

..."manzil kuchh nahin hoti, thake jismon ko bharam hota hai"...

This is one of the most beautiful and poignant lines of poetry I've ever read.
The rest of the poem has to be read:

Kuchh to kaho meri dost
tum chup kyun ho...
waqt achha yaa bura
beet hee jaayega
hum to musaafir hain
ek ummeed liye,
koi lamha
kisi pardaao kaa nishan to laayega...

Kuchh to kaho meri dost...

Tum chup rahogi agar
mere azm ki anaa kya hogi
meri shohrat tumhari wahshat naa sahee
tumhare likhne se mere dil ko tasalli hogi...

Kuchh to kaho meri dost..

Manzil kuchh nahin hoti
thakey jismon ko bharam hota hai,
phir koi raah nikalti hai
phir chal detey hain
sirf pardaao aatey hain
nikal jaatey hain...
Phir chehre pe udaasi kaisi
kaali raat ki tarah
yeh chuppi kaisi...
khabar acchhi nahin
buri hee sahi
waqt hai yeh bhi
beet jaayega,
manzil kaa keh nahin saktey lekin
phir kisi pardaao kaa nishaan
kisi ummeed,
kisi muskan ki tarah
waqt bewaqt
chalaa hee aayega..

Kuchh to kaho meri dost...
tum chup kyon ho?


- Nilendu Sen

No comments: