Tuesday, August 02, 2005

Yaad by Faiz Ahmed Faiz

Dasht-e-tanhaai mein ae jaan-e-jahaan
larzan hain
teri awaaz ke saa'e, tere honton ke
sarab
dasht-e-tanhaai mein doori ke
khas-o khak ta'le
khil rahe hain, tere paihloo ke
saman aur gulab

uth rahi hai kahin qurbat se teri
saans ki aanch
apni khushboo mein sulagti hui
madham madham
door ufaq par, chamakti hui qatrah
qatrah
gir rahi hai teri dildar nazar ki
shabnam

is qadar pyaar se, ae jaan-e-jahaan
rakha hai
dil ke rukhsaar pe is waqt teri yaad ne
haath
yoon gumaan hota hai, garche'h hai
abhi subh-e firaq
dhal gaya hij'r ka din, aa hi gayi vas'l
ki raat

No comments: