Thursday, June 28, 2007

Taj Mahal

In the wake of the recent mania concerning making The Taj part of the new Seven Wonders of the World - and, the fact that all Indian television and radio channels, and mobile phone operators are making tonnes of money with this - here's something from Sahir Ludhianvi:

taaj tere liye ik mazahar-e-ulfat hi sahi
tum ko is vaadi-e-rangeen se aqeedat hi sahi

[mazahar-e-ulfat = symbol of love; vaadi-e-rangeen = beautiful spot; aqeedat = respect/preference]

mere mehboob kaheen aur mila kar mujh se!

bazm-e-shaahi mein gareebon ka guzar kya maanee
sabt jis raah pe ho.n satavat-e-shaahi ke nishaan
us pe ulfat bhari ruuho.n kaa safar kya maani

[bazm-e-shaahi = royal court; sabt = etched]
[satavat-e-shaahi = royal grandeur; ulfat bhari ruuh = lovers]

meri mehboob pas-e-pardaa-e-tashheer-e-vafaa
tu ne satavat ke nishaano.n ko to dekha hota
murdaa shaaho.n ke maqaabir se bahalevaalee
apne taareek makaano.n ko to dekhaa hotaa

[pas-e-pardaa-e-tashheer-e-vafaa = behind the veil of this advertisement of faith/love] [satavat = wealth/grandeur; maqaabir (maqabaraa) = tomb; taareek = dark]

anaginat logo.n ne duniya mein mohabbat ki hai
kaun kehta hai ki saadiq na the jazbe un ke
lekin un ke liye tashheer ka saamaan nahin
kyun ke vo log bhi apni hi tarah mufalis the

[saadiq = true; tashheer = advertisement; mufalis = poor]

ye imaaraat-o-maqaabir ye faseele.n, ye hisaar
mutal-qulhukm shehenshaaho.n ki azamat ke sutuu.n
daaman-e-dahar pe us rang ki gulakaari hai
jis mein shaamil hai tere aur mere ajadaad kaa khoon

[hisaar = forts; mutal-qulhukm = unthinking/arrogant; azamat = greatness; sutuu.n = symbol]
[daaman-e-dahar = on the face of this world; gulakaari = flowers and vines; ajadaad = ancestors]

meri mehboob! unhein bhi to mohabbat hogi
jinki sannai ne bakhshi hai ise shakl-e-jameel
un ke pyaaron ke maqaabir rahe benaam-o-namuud
aaj tak un pe jalaayi na kisi ne qandeel

[sannai = artistry; shakl-e-jameel = beautiful form]
[benaam-o-namuud = without name or even a trace; qandeel = candle]

ye chamanzaar ye jamuna ka kinara ye mahal
ye munaqqash dar-o-deevaar, ye meheraab ye taaq
ik shehenshaah ne daulat ka sahara le kar
ham gareebo.n ki mohabbat ka udaayaa hai mazaak

[chamanzaar = garden; munaqqash = picturesque]

mere mehaboob kahin aur mila kar mujhse!

No comments: