Saturday, June 30, 2007

Pashemaani / A Sense of Regret

Main ye soch kar uske dar se uttha tha
Ki woh rok legi, manaa legi mujhko,

Hawaaon mein lehraata aata tha daaman
Ki daaman pakaD kar bittha legi mujhko,

Kadam aise andaaz se utth rahe thay
Ki aawaaz dekar bula legi mujhko,

Magar usne roka na mujhko manaaya
Na daaman hi pakDa na mujhko bitthaaya,

Na aawaaz hi di, na waapas bulaaya
Main aahista-aahista baDhta hi aaya,

Yahaan tak ki usse juda ho gaya main.

- Kaifi Azmi

No comments: