Friday, January 12, 2007

Meri Teri Nigaah Mein... - Faiz Ahmed Faiz

meri teri nigaah mein jo laakh intezaar hain
jo mere tere tan badan mein laakh dil fiGaar hain
jo meri teri ungaliyon ki behisii se sab qalam nazaar hain
jo mere tere sheher ki har ik gali mein mere tere naqsh-e-paaa ke be-nishaan mazaar hain
jo meri teri raat ke sitaare zakhm zakhm hain
jo meri teri subah ke gulaab chaak chaak hain
ye zakhm saare be-davaa ye chaak saare be-rafuu
kisi pe raakh chaand ki kisi pe os ka lahu
ye hain bhi yaa nahin bataa
ye hai ki mehez jaal hai
mere tumhaare ankabuut-e-vehem ka buna hua
jo hai to is ka kya karein
nahin hai to bhi kya karein
bataa, bataa, bataa, bataa

No comments: