aao ki koi khhwaab bunein kal ke vaaste
varnaa ye raat aaj ke sangeen daur ki
Das legi jaan-o-dil ko kuchh aise ki jaan-o-dil
ta'umr phir na koi haseen khwaab bun sakein
[bunein = to weave; sangeen daur = difficult times]
[Das legi = will bite; ta'umr = entire life]
go hum se bhaagti rahi ye tez-gaam umr
khwaabon ke aasare pe kaTi hai tamaam umr
[tez-gaam = fleet-footed]
zulfon ke khwaab, honThon ke khwaab, aur badan ke khwaab
meraaj-e-fan ke khwaab, kamaal-e-sukhan ke khwaab
[meraaj-e-fan = (to reach) summit of art; kamaal-e-sukhan = perfection in poetry]
tehzeeb-e-zindagi ke, farog-e-vatan ke khwaab
zindaan ke khwaab, kuuchaa-e-daar-o-rasan ke khwaab
[tehzeeb-e-zindagi = civilized life; farog-e-vatan = nation's upliftment]
[zindaan = prison; kuuchaa-e-daar-o-rasan = road leading to the gallows]
ye khwaab hi to apni jawaani ke paas thay
ye khwaab hi to apne amal ke asaas thay
ye khwaab mar gaye hain to be-rang hai hayaat
yoon hai ki jaise dast-e-tah-e-sang hai hayaat
[amal = work; asaas = foundation; hayaat = life]
[dast-e-tah-e-sang = hands crushed under a stone/helpless]
aao ki koi khwaab bunein kal ke vaaste
varna ye raat aaj ke sangeen daur ki
Das legi jaan-o-dil ko kuchh aise ki jaan-o-dil
ta'umr phir na koi haseen khwaab bun sakein
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment