Kalia naag
dwaapar mein hi
amreeka migrate kar gaye
aur khol baithe
Coke aur Pepsi naam se
do dukaan…
duniya bhar mein bechney
apna samaan...
Kahin botal mein
toh kaheen cans mein
ek nashey saa
ghul chalaa
zahreeli gas
aur shakkar kaa
paani mein
uthta hua unmaad prem jwaar…
karein daaktar,
bhalaa bachhey
bhi maanaa kartey hainge
baDon ki sunkar?
Aur Sachin Shahrukh
Kareena ki sunenge
Ya aapki??!!
Unkey aagey naa chali
kisi ke baap ki…
ab batlaao
Kishan maharaaj
tum kabhi gandhi
kabhi Mandela aur
Martin Luther King
bankar
in firangiyon ko
sunaaogey
Bhagvad Geeta
ka chakkar?
Mama Kamsa inka
nanha sa
munna sa
masoom sa
poorvaj tha
Kitney nadaan ho tum
usse markar
khud ko
khuda samajh baithey
Mujhe bhagakar
Radha par lota paani lekar
chardh baithe!!!
Ab meri khoob chalti
hai yahaan
khoob baandha hai
gopiyon ne samaa
Tumney diya tha
vardaan
so kabhi
maharshi to kabhi bankar
bhagwaan
kabhi Atlanta to kabhi Oregon
khoob kartaa hoon tumharey
bakwaas ka bakhaan…
Itnaa baDaa hai
inke paap ki fehrist
kaa naap
ki kai Mahabharat
gyan dete reh jaayenge aap
ki baat hai
merey products mein
zahar ki maatra kuchh
baRdh si gayee
tum toh jaantey ho
dhande mein yeh koi
bhalaa baat hai nayi?
So saara maal
Mahim ke paikhaanon mein
diya daal
aur socha saara paap tumharey
sir mardh kar
mukhya mantri ban
bhaashan doonga
kahoonga prakritik aapda hai
jissey nibatney ko hum hain
kab se tayyaar
aakhir humein jantaaa se jo hai pyaar…
Lekin dekho toh hindustaniyon kaa khel !
Kattar Hindu mandirwaadi
aur lashkar ke aatankiyon mein
fauran ho gayaa mel!!
Meetha ho gayaa hai
samudra kaa jal,
tumharey karishmon ke kya kehney
tum ab samudra mein bankar jal
Mumbaikaron ke bankar hal
lagey ho Mahim ke gutter mein bahne!!
Dhanya ho tum…Allah ho akbar!
Siddhi vinayaayak
agar Mahim kaa garal ban saktaa hai jal
to kyon naa dhoodh peeyein wo
Kya hua agar karordon bachhon ko
nahin hai doodh naseeb
Mahim creek to hai bilkul nazdeek
Ek nadee see bhi bahti hai wahaan
dekho to vidambnaa
ya yoon kahein kaal kaa
yaani tumharaa hi khel
naam hai nadee kaa Mitthi…
baardh mein bhi kal
jismein beh rahee thee laashein
mootra aur mal !!!
mujhe desh nikaala...
par dekar mujhhey abhishapt jeevan se mukti
lautaa kar mera swabhimaan
arey madhavkantji
aap mere sar per chardh kar naache
phir bhar diyaa mujhmein vish...
Yugon tak chalega ye khel
kaun kisko nikaaltaa hai
kaun kar saktaa hai tai
Tumhein khushfahmi ki
tum ho savera
Mujhe koi gurez nahin
bankar naapaak raaton ka andheraa
Kaliya hoon main
koi saadhaaran saanp nahin
mere kuchley huye
sahasra phunon ka
har kshan denaa hai hisaab…
aur mere moh se iss qaynaat ko
bachaaogey?
Kitney nadaan ho tum balgopal
maraa karein duryodhan dusaashan
agar tum pavitra savera ho
aur chalaa kartey ho daal daal
chalta hoon paat paat main bhi
bankar kamsin randee si raat
Waqt hain hum, bhai
main Kaliya hoon
tum Krishna
agar hum mil jaatey
to inn goron par raaj kar paatey...
par hum to satya
aadhyatam kaa bakhaan kartey hain
ek haath se daan detey hain
doosrey se rishwat letey hain
sir par chardh kar mere
naachey jo thay tum
bhagwaan ho jaankar bhi
ek adnaa se saanp ko jeet kar
khushi manaana theek nahin...
Shaam ko ghar aao
sunahree Scotch piyenge
kaali Coke yaa pepsi nahin
tai karenge raasta aagey kaa
Jaan lo ki jab aadhi duniya jaagegi
to aadhee hi soyegi
Kalia Naag...
dansh meri pravritti hai,
dansh meri prakriti hai
dansh mujhmein hai tumhara hi ansh…
Tum Krishnaang sukarmavaadi
main kaliya naag
paryaay kukarmon kaa...
kaaley to hum donon hain
phir bair kaisa
aapas mein baant lenge
tumhaara hi dikhayaa huaa karmaphal
in goron ko akrmanya banaa kar
sabhyata ke koordey daan mein daalkar
aao naa wo waqt laayein
jismein naa ujaala ho daag daag
naa raaton kaa koi kamsin jashna
sangeen ke darr se
tham jaaye…
- Nilendu Sen
1 comment:
arrey baap re
bahot BAHOT bhaari !!!
BAHOT mazedaar !
LOVED it ! seriously :)
why didnt u temme ur updating?
duh!
Post a Comment